DORAN E HAMAL SEHAT KI KHARABI
Naqsh No 39 (DORAN E HAMAL SEHAT KI KHARABI): Hamara
ye mozoo un khawateen k liye hai jinki sehat haamla hote hi bohat ziada kharab
hojati hai. Aisi halat main dil ka musalsal matlatay rehna, khana peena chor
dena, bar bar qay ana, har cheez se dil bayzaar hojana, ghar k kamon main dil
na lagna, dil ka musalsal pareshan rehna, kamzori hojana, dil matlana aur qay
ka na ana aur is qisam ki deegr alamaat ka samna haamla hone k baad kuch arsay
tak har aurat ko karna parta hai lakin kuch khawateen ki halat musalsal 3,4 mah
tak kharab hi rehti hai.